Wednesday, June 18, 2008

Main lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta

Main lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta
Iska matlab ye nahin ki main usse pyar nahi karta
Chahata hun main use aaj bhi magar
Uski soch main apna waqat bekar nahi karta
Tamasha na ban jaay kahi mohabbat meri
Isliye apney dard ka izhaar nahi karta
Jo kuch mila hay ussi me khush hun
Uskey liye main Khuda sey takrar nahi karta
Par Kuch to baat hai uski fitrat me zalim
Warna ussko chahne ki khata mai baar baar nahi karta

No comments: