Wednesday, June 18, 2008

Lion Part 4

orr yee Aitebaar kuch iss kadar ho jata hai.
har koi begaana orr wo ek apna khaas ho jata hai.
Naa Din ki naa raat ki khabar rehti hai.
wo ajnaabi iss tarah se apna pyaar ho jata hai.

Kisi na kisi ko kisi na kisi pe aitbar ho jata hai,
Ajnabi sa koi shakhs khaas ho jaata hai,
Khubiyon se hi nahi hoti mohabbat sada,
Kabhi- kabhi khamiyon se bhi pyar ho jaata hai
------------------------------------------------------------------
dekho aur bhi bahut hoge tarane aapke pass
kuch apne kuch hamare fasane aapke paas
kya har baar hath jatak ke khade ho jate ho
jara dekho aapna daman khuda ne chhode he kai sitare aapke pass

Ek ada aapke dil churane ki, ek ada aapke dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa aur ek zid hamari chand pane ki.


Wo kahte hain k saari raat aap hume sone nahi dete...
hum kehte hai k apka Noor he aisa hai k
aap hamari raat hone he nahi dete...

Kuch lamhe kuch ehsaas mitaye nahi jate,
Kuch meethe-meethe pal bhulaye nahi jate,
kuch nazre khud hi keh jati hai,
Kuch alfaaz sunaye nahi jate.

us din khuda ne bhi jashn manaya hoga,
Jis din aapko apne hatho se banaya hoga,
Usne bhi bahaye honge aansu,
Jis din aapko yahan bhej khud ko akela paya hoga

Phoolon mein gulab achhaa lagta hai,
Sapno mein khwab achhaa lagta hai,
Aap hamein yaad karti rahe
Hame aapka yeh andaz achaa lagta hai

Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!


Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.


Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai,
Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.


Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.


Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.


Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.....


Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.


Qayamat tak tujhe yaad karenge,
Teri har baat par aitbaar karenge,
Tujhe SMS karne ko to nahi kahenge,
Par phir bhi tere SMS ka intezar karenge.


Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.


Do pal ki bhi khushi na mili to kya
hum umr bhar gam ke sahare ji lenge,
Kya hua jo hamari girlfriend nahi,
hum aapki girlfriend ke sahare ji lenge.


Soch ko badlo, sitare badal jayeng,
Najar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiya badalne ki jarurat nahi,
Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge.


Aapki muskan hamari kamjori hai,
Keh na pana hamari majburi hai,
Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai?


Hum dua karte hain Khuda se,
ki wo aap jaisa dost aur na banaye,
Ek Cartoon jaisi cheez hai humare paas,
kahin wo bhi common na ho jaye!


Dil mein umeedo ki shamma jala rakhi hai,
Humne apni alag duniya basa rakhi hai,
Is umeed ke saath ki ayega SMS aapka,
Humne mobile par nazrein jama rakhi hein.


Hum na hote to aapko gazal kaun kehta,
apke chehre ko gulab kaun kehta,
Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka,
warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta.


Aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho,
Saya sa koi lehraye to lagta hai ki tum ho,
Ab tumhi batao tum kya kisi bhoot se kam ho?


Dil ka dard dil todne wale kya jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.


Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, meri har aah har dard
samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi, phir bhi
aankhein tere deedar ko tarasti hain.

No comments: