Wednesday, May 16, 2007

lion part 3

Dil se Tera

dil se tera khayaal na jaye to kya karu,
tu hi bata teri yaad aye to kya karu,
tammana hai ke tuje ek nazar dekh lu,
par taqdeer vo lamha na laye to kya karu.

Yaadein

Yaaden teri rakh di hain sambhaalkar. .
Dur kanhi iss dil se nikaalkar..
Sab kuchh to wapis le liya hain aapne dur jaakar.
Inn yaadon ko bhi le jaana kisi roz aakar..

Lamhein

Lamhein ye sunhrein kal saath ho naa ho..
Kal mein aaj jaise baat ho naa ho.
Par teri yaadon ke haseen pal.. dil mein rahenge tamaam umrrbhar..
Chaahe phir se apni mulaaqaat ho naa ho...

kaun rakhta

kaun rakhta hai yaad naam ko
log chehron ko bhul jate hain
tum samundur ki baat karta ho
log to ankon mein dub jate hain
mohabbat jise karni ho vo mohabbat kya jane
mera dil to unhe ab bhi chahta hai,
unke dil ko to khuda jane...

Her aik muskarahet

Her aik muskarahet muskaan nahi hoti,
mohabbat ho ya nafret asaan nahi hoti,
ansoo khushi ka hoon ya ghum ka hotay hain aik jaysay,
in ansoon ki koi pahchan nahi hoti,

baat hai wohi per matlab badal gay hain,
dil dagmaga giya tha per hum sambhal gay hain,
attay hain din woh bhi jaysa hain log lakin,
apna sab kuch hai per jaan nahi hoti,
her aik muskarahet muskaan nahi hoti,

is jahan main chahray bhi aik jaysay,
ghunghat bhi aik jaysay sahray bhi aik jaysay,
janti hain nazrain pahchanti hain nazarain,
apni parai suraat anjaan nahi hoti,
her aik muskarahet muskaan nahi hoti,

yeh dil bhi ajab shay hai ho jay jab akaila,
rahta hai sath us ka daryaoon ka aik maila,
doniya choot jay her aas toot jay,
mahfil yeh dil ki kabhi veraan nahi hoti,
her aik muskarahet muskaan nahi hoti,
mohabbat ho ya nafret asaan naho hoti