Purani jeans aur guitar
Mohalle ki vo chhat Aur mere yaar
Vo raaton ko jaagna
Subah ghar jaan Kood ke deewar
Vo cigaretee peena Gali mein jaake
Wo karna daanton ko Ghadi ghadi saaf
Pahunchna college hamesha late
Vo kehna sir ka "Get out from the class!"
Vo bahar jaake hamsha kehna
Yahan ka system Hi hai kharaab
Vo jaake canteen mein Table bajaake
Vo gaane gaana Yaaron ke saath
Bas yaadein Yaadein Yaadein reh jaati hain
Kuchh chhoti Chhoti Baatein reh jaati hain
Bas yaadein..
Vo papa ka daantna
Vo kehna mummy ka Chhodein ji aap
Tumhein to bas nazar aata hain
Jahan mein beta Mera hi kharaab
Vo dil mein sochna Kar ke kuchh dikha dein
Vo karna planning Roz nayi yaar
Ladakpan ka vo pehla pyaar
Vo likhna haathon pe H + R
Vo khidki se jhaankna
Vo likhna letter Unhein baar baar
Vo dena tofe mein Sone ki baaliyan
Vo lena doston se Paise udhaar
Bas yaadein Yaadein Yaadein reh jaati hain
Kuchh chhoti Chhoti Baatein reh jaati hain
Bas yaadein..
Aisa yaadon ka mausam chala
Bhoolta hi nahin Dil mera
Kahan meri jeans aur guitar
Mohalle ki vo chhat Aur mere yaar
Vo raaton ko jaagna
Subah ghar jaan Kood ke deewar
Purani jeans Aur guitar..
Friday, September 28, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment