Her Qarz Dosti Ka Ada Kon Kary Ga
Hum Na Hon Gay Tu Wafa Kon Kary Ga
Ya Rab Mery Doston Ko Sada Salamat Rakhna
Warna Mere Marny Ki Duwa Kon Kare Ga.
Lamha lamha waqt guzar jayega,
Chand lamho mein daaman chod jayega.
Abhi waqt hai do baatein kar lo humse,
Kya pata kal kaun teri zindagi me aa jayega.
Hotho pe dil ke tarane nahi aate,
Sahil pe samundar ke fasane nahi aate,
Neend main bhi khul uthte hai palkein,
Aankhon ko khwab chupane nahi aate
Hum miti ke ashiyane banate gaye
Bana - bana kar unhe mitate gaye
Hume koi na apna bana saka,
Hum har kisi ko apna banate gaye........ ..
Bhoolein na kabhi aisi koyi yaad de do
Bhoole se hi sahi kabhi humein aawaz de do
Yahan mout ka kise gham hai
Pal bhar ka tum agar saath de do..
Bahot tamanna thi pyar mein aashiyana banane ki
Aashiyana bana chuke to lag gayi nazar zamane ki
Yeh un ki mahabbat mein ajj hain aankhoun mein aansoo
Humein to saza milli hai sirf muskurane ki
Koi smite smite sadge che,Koi Radi ne dil ne behlave che
koi tipe tipe tarse che, ne koi jam nava chalkave che
Sanjogo na palav ma che badhu,dariya ne thapko na aapo
ek tarto manas dube che, ne ek las tari ne aave che .......
Kitna bebas he insan kismat ke aage,
Kitne dur he sapne hakikat ke aage,
Koi ruki hui dhadkan se puchhe,
Kitna tadpta hai dil mohabbat ke aage.
Wo jate huye kah gaye .......
Ab to hum sirf aapke khawabo main hi aaya karenge,
Koi ja kar wada le le unse.....
Ta umr ke liye hum so jayenge.......
"GULAB" ko bhi "KAMAL" bana dete...
Uski ek ada pe kai gazal bana dete...
Kambakht marti nahi hain mujh par ladkiyan...
warna BARODA city me bhi ek "TAJ MAHAL" bana dete...
Mukaddar se Lad Saku Ye Meri Aukat Nahi....
Me woh Sakhsh hu, Khuda Jiske Saath Nahi....
Waqt ayega to keh dunga us Khuda Se....
Ki Mera Muqaddar Likhna tere bas ki baat nahi..........
Mat Pooch mere Sabra Ki Inteha kaha tak hai....
Tu sitam kar le teri takat jahan tak hai...
Wafa ki ummid hame nahi...
Hume to dekhna hai, ki tu Bewafa kaha tak hai....
Zuban Hi Sirf Ek Zaria Nahi,
JoAaap Shabdon Ko Samajh Paayenge.
kabhi Aankhon Mein Jhaank Kar Dekhiye,
Hazaro Alfaz Khud B Khud Bikhar Jayenge.
Na thi Jisko mere pyar ki Kadar....
Ittefaq se usi ko chah Raha tha mein....
Usi diye ne jalaya mere haath ko....
Jisko Hawa se bacha raha tha mein.....
Jub Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai
Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai
Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain
Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai
Zakhm itne gehre the ki izhar kya karte...
Hum khud nishana ban gaye, vaar kya karte...
Mar gaye hum par khuli rahi aankhe...
Is se jyada unka intezaar kya karte....
Jazbat ko kabhi zuban nahi milti...
Aarzu ko kabhi dua nahi milti...
Muskan banaye rakho to duniya hain saath...
Varna aasuon ko bhi aankho me panah nahi milti.........
Ek jhanaze ko dekh kar baju me khadi ladki muskurai...
To ek Baba bole, "Beta javan mout ko dekhkar yu muskaraya nahi karte,"...
To ladki boli, "Baba vada kiya tha jab bhi milenge muskurayenge.".....
Manzile bhi uski thi, Rasta bhi uska tha....
Ek me akela tha, Kaafila bhi uska tha....
Saath Saath chalne ki soch uski thi,
Phir Raasta badlne ka faisla bhi uska tha...
Aaj kyun akela hu mein, Dil sawal karta hain...
Log to uske the, Kya khuda bhi uska tha????
Wednesday, December 6, 2006
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment